Home

Saturday, June 19, 2010

My Shayari..............

Har Jakham sah lete hai
jindagi uhi ji lete hai
hath mila lete hai jisne dosti ka ek bar
fir un hatho se jahar bhi ppi lete hai

kuch is tarah se pyar kar bethe hum ke khud ko hi sambhal na paye,
har waqt yu to the hons me hum par kambakth unko ye samja na shake,
saath chale rahe unke magar unko ye ahsaas dila na shake,
pyar to unko bhi tha hamse magar who keh na sake, aur hum samaj na shake.


KAUN KISKO DIL MAIN JAGAH DETA HAI..
PED BHI SHUKHEY PATTEY GIRA DETA HAI…
WAKIF HAI HUM DUNIYA K RIWAZO SE,
DIL BHAR JAYE TOH HAR KOI BHULA DETA HAI….

e Sanam har faisala mujhe tera manjur hai,
Samne tere teri mehbooba bahot majboor hai
kam nahi hai roshni tere pyar ki
shayad mere pyar me khuda ko yahi manjoor hai

Har dua me jaise ek fariyaad chhipi ho
Tanhaee me kisi ke saath chhipi ho
Lamho me kisi ki yaad chhipi ho
Is khamoshi me jaise koi baat chhipi ho

Pyar chupta nahi aankhen chupane se,
dil rukta nahi kisike samjhane se,
Ruk jati hai dhadkan tujhe bhul jaane se,
hum tujhe yaad karte hai jeene ke bahane se'.

Thak gaye hum apka intazar karte karte,
roj hajar bar khuda se takrar karte karte,
tin labz apke jaban se nahi nikle,
tut gaye hum ek tarfa pyar karte karte.

iska jaha naam hota hai,
tadpna uljna aam hota hai,
khushnashibo ko isq ho nahi sakta,
ye to badnashibo ka kam hota hai.

Barso gujar gaye rokar nahi dekha,
in ankho ko ansuo se dhokhar nahi dekha,
wo kya jane pyar kya chij hoti hai,
jisne kabhi kisi ko khokar nahi dekha.

Sabhi ko sab kuch nahi milta,
nadi ki har lahar ko sahil nahi milta,
ye dil walo ki duniya hai yaar,
kisi ko dil nahi mailta aur kisi ko dil se nahi milta.

Us ajnabi ka yun injar na karte,
Is ashiq dil ka na aitbar na karte,
roj niklenga uski yaad me ek ansoo,
ye maloom hota to kabhi us se pyar na karte

DO KADAM CHALNE KELIYE SATH MANGAA HAI
BAS PAL-DO-PAL KELIYE PYAR UDHAAR MANGA HAI
NA CHUPA APNE GUM KO TABASSUM KE PICHE
MAINE TUJHE SARE GUMON KE SATH MANGAA HAI.

Aaj door se hi koi salaam kar gaya,
apni yaadon ka gulaam kar gaya,
apni zindagi girvi rakhkar khareeda tha jise,
aaj vahi hame neelaam kar gaya.

Ji bhar kar roye to karar paya,
is dour me kisne sachha pyar paya,
jindagi gujar rahi thi inthane se ki....,
ek jakham bhara nahi aur dusra taiyar paya.

Agar mai mar gaya to jala dena,
par jalane se pahle dil nikal dena,
are hume fikar nahi dil jal jane ki
fikar hai to is dil me rahne walo ki.

char ful hum par gire,
char ful unpar gire,
vo bhi saj rahe the,
hum bhi saj rahe the,
bas fark itna tha hum dono me...
ve Duniya basa rahe the,
aur hum Duniya se ja rahe the.

Ap samjhte haiki humne apko bhula rakha hai,
Humne to apko dil me chupa rakha hai,
KOi dekh na le apko humari ankho me,
is liye humne palko ko bhi jhuka rakha hai.

Har dhadkan me ek raaj hota ha,
har baat karne ka ek andaj hota hai,
Jab tak thokar na lage bewafai ki,
tab tak har kisi ko apne pyar par naaj hota hai.

Apno ne jahar ka jaam de diya,
gairo ne bewafa naam de diya,
jo kahte the hume bhul na jana,
usine bhulne ka paigaam de diya.

No comments: